Re: Muqabla-e-Tarahi ghazal.. May-08 | | wafaa maiN ab ye hunar ekhtayaar karna hai
dil kee lagee zabaaN se ezhaar karna hai
sitaaroo se aage phir banayeN ge jahaN
pahle diloN ko hamwaar karna hai
dil tang huye to ghar kushada hogay
bacho ki aahat ka ab intazaar karna hai
bisaat e bakht ki chaal samajh saka na koi
bekar apnee tez raftaar karna hai
kab bahee hai hawa mange ki rut per
ek din to naao is paar,uspaar karna hai |