Re: Muqabla-e-Tarahi ghazal.. May-08 | | "wafa maiN ab yeh hunar ikhtiyaar kerna hai" jo pyar mujh se karay uss se pyar kerna hai
khushi maiN jis ki bhula bhet-thaa tha apnay gham
usii ko ab ke bohot beqaraar kerna hai
hai kaun jis ko kahooN aithbaar ke qabil?
kisi pe kiya! apnay pe aithbaar kerna hai!
maiN kis ke dar pe chalooN? kiya samajataiN kerlooN?
khazaaN jo dil mian hai uss ko bahaar kerna hai!
woh ab ke jesay kabhi saamnay na ayega
hamesha chupkay hi se uss ne waar kerna hai
__________________ Ihsan Elahi
Last edited by silent_wishes; 05-21-2008 at 09:57 PM.
|