Aziz saathio diyay gaey misra-e-tarah par meri mamooli si koshish bhi aap ki nazr hai.
Nihan hai jo bhi yahan aashkar karna hai
hadon mein rakhna nahin beykinar karna hai
hua na kuch bhi buhat khak ura kay daikh liya
ab us ki raah mein khud ko ghubar karna hai
nidhal kar diya is hijr ki musaafat nay
aur aagay dast-e-rafaqat bhi paar karna hai
hamaray dil ki bhi tauqeer kuch khulay us par
"wafa mein ab yeh hunar ikhtiar karna hai"
naey siray say jala kar diyay umeedon kay
ab un kay gird hawa ka hisaar karna hai
kara hai marhala darpaish aur us pay sitam
keh apnay aap par ab aitebaar karna hai