
05-20-2008, 10:52 PM
|
 | ~~Mee Raqsam~~ | | | Join Date: Aug 2003 Location: Mirpur(AJK)
Posts: 2,658
Country: Tutorials:
0 Thanks: 4
Thanked 13 Times in 12 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 455 | |
Re: Muqabla-e-Tarahi ghazal.. May-08 | | Assalamualaik,
aik adna si kavish,,, jamaal e yar ko ab aashkar karna hai
khizan raseeda chaman ko bahar karna hai
"wafa mein ab yeh hunar ikhtiar karna hai"
tumhari yad sey dil waguzar karna hai
merey khilaf saf aara hein yar bhi merey
to sochta hoon mujhey kis pe war karna hai
isi zameen ki nisbat sey mu`tabir thehrey
isi zameen` ko hamein lalazar karna hai
jo ahl e dil hain usey shairy bhi manein gey
hamein to tazkira e husn e yar karna hai
yeh kya kamal ke yaron pe jan ho qurban
maza to jab hai adoo sey bhi pyar karna hai
wo jis kay honey sey sara jahan mera tha
jahan sara usi par nisar karna hai
jo teri bazm mein kartey hain dawa e ulfat
meri wafa ney unhein sharmsar karna hai
wisaal e yar ki khatir muheeb darya ko
ghara hai kachcha to kya phir bhi par karna hai
Allah hafiz
__________________ Yadash Bakahir ham bhi aadi thay dil lagi kay
Ab khwab ki hain batein qissay thay jo kabhi kay |