Re: Muqabla-e-Tarahi ghazal.. May-08 | | muqabla-e-tarahi ghazal ke liye meri ghazal qubul kijiyega
" wafa mein ab ye hunar ikhtiyar karna hai
woh bewafa hi sahi,phir bhi pyar karna hai
balandiyon pe mere housale hon, mere khuda
khizan ki rut ko badalkar bahar karna hai
unki ahat hameysha gunjati hai aangan mein
tamam umr hamein intazar karna hai
woh dur ho to khatakti hai judai unki
woh paas ho to shikwe hazar karna hai
woh din ko raat bhi kah dein to koi baat nahin
hamara kya hai hamein eitbaar karna hai
hamari neende udana tumhara kaam sahi
hamara shagl bhi taare shumar karna hai
qadam qadam pe teri rahmaton ka saya ho
qadam qadam pe tujhe hamkinar karna hai
----------------vibhavan----------------- |