dosto ujlat amin kahi gai aik tarhai ghazal paish e khidmat hay
umed rakht hun k ap logon ko pasnd ay gi.
aap ki tankeed o tabrik ka muntaazir rahun ga.........
" wafa main ab yay hunar ikhtiar karna hay
diyay ke lo' ko hawaon say piar karna hay
udas hona hay khud bhi teri judai per
tujhay bhi abb kay bohat bayqarar karna hy
tamam umr ye karwat nahin badalni hy
tamam umr tera intizar karna hay
ye gham nahin ky hmain phir faraib he ho ga
ghazab to ye hay tera aitbaar karna hay...
chamk rahay hain charagon ki ankh main ansoo
hawa ko aaj bohat sogwar karna hay........
andhairi jheel hy,khamoshian hain,jungle hay
or jugnuon pe mujhay inhisaar karna hay
aboor karna hay ik rasta musafir ko
or aik fasala sooraj ko paar karna hay
adoo ki taigh ko taskheer kar lia main nay
ab apny khun ki khushbo sy waar krna hy
ye keh rha hy hawa ka mizaj patjhar say
kay janglon main bapa intishar karna hay
zaban dayni hay ya dil udas naslon ko
ye faisla bhi sere shakh e daar karna hay
khulay huay hain sabhi ablon ky mu'n mazhar``
lahoo ko raqss e sir e nok e khaar karna hay....
(Mazhar Naqvi)