Quote:
Originally Posted by sundus shukria laikin pahli dafa likha hai kuch is liay kuch ghalti hoi ho tu mazrat khoa hu |
Pehlay to aap pehli dafa hi itna acha likhnay per daad qabool karain. Bohat Khoob.
Aik do chezon per halki see twajoh dainay ki zaroorat hai:
1- Qafia aur Radeef: Choonkeh aap pehli dafa likh rahay hai, is liye is cheez per ghor nahin kar paye.
Radeef say murad wo lafaz ya alfaaz hain hai jo shair jay aakhir main baar baar dhraye jayen. Misaal kay tor per
hum kitna aik saal k andar badal gaye main
badal gaye wo alfaaz hain jo har shair main duraye ja rahay hain. Yeh is shair ki radeef tehray.
Qafiya say murad hai wo hum awaaz alfaaz jo shair kay aakhir main aatay hain. Qafiya hamisha radeef say pehla lafz hota hai. Misaal kay tor per ooper waalay shair main qafiya hona chahiye:
andar
Ab aap is say miltay jultay alfaaz poori ghazal main bator qafiya istamaal karain gay misaal kay tor per:
andar, sha'ir, bahar, saagar, gaagar, behtar, kafir waghaira waghaira
2- Ghazal main wazan barqaraar nahin hai. Is kay liey aap tutorials ko aik dafa perh lain.