jeenay se marna badal gaye | | pehle se khadokhaal na pehle se hain khayal
hum kitna aik saal k andar badal gaye
pehle sa hai lehja na pehle si hain batain
ik zara si baat par lehjay badal gaye
kaha tha us nay k usay yeh rasta pasand nahi
aur yeh suntay hi hum apna rasta badal gaye
laakh samjhanay par bhi wo na samjha
aur hum samjhanay ki wo ada badal gaye
badla hai rasta, badli ada, badli hai apni zaat
hairat hai ik shaks ki khatir hum kia kia badal gaye
usay kaho k ab aur na kuch badalnay ko kahay hamain
aisa na ho use khabar mile hum apne jeenay se marna badal gaye |