samandar main sahary ka aetbaar karna hai
wafa main ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
kay tujhy deakhy bina hi tujh main khin kho jaoun
kay talaash karna bhi chahoun to na kar paoun
k teri deed ki talaash main kahin door jo jaoun
kay kisi kay bulany par kabhi lout na paoun
kay jesay umer bhar kisi ka intezaar karna hai
wafa main ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
main manind,e, parwaana shamma say lipat jaoun
kay titli ki tarhan phooloun k gird mandlaoun,,,,,,,
main gulshan main jugnou ki chamak damkaoun
ya sehra main kahin door paani ki chamak paoun
mujhy youn hi teri neamatein shumaar karna hai
wafa main ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
ab jis jagah say takht,e, suleeman ka hai guzar
ab is jagah say sheahr,e, saba ka deedaar karna hai
ab raah kho chuki hai musafat ki dhund main
ab dasht,e, aabla paa tujhy paar karna hai
ab kaatib,e taqdeer ko khud ka parastaar karna hai
wafa main ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
ous nay kaha k lougoun k darmiyaan main houn
ous nay kaha kay sab say aashna bhi houn,,,,,,,
ous nay kaha kay tere liye meharbaan bhi houn
us nay kaha kay dunya say ayaan bhi houn,,,,,
phir bhi aye jalwa gar tera deedaar karna hai
wafa main ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai,,
deedaar ,e, khuda by
nageen