View Single Post
  #14  
Old 05-11-2008, 12:20 PM
waheedakhtar's Avatar
waheedakhtar waheedakhtar is offline
0321-4270776
 
Join Date: Mar 2006
Location: Lahore
Age: 28
Posts: 259

Country:

Tutorials: 0

Thanks: 21
Thanked 46 Times in 42 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 108
waheedakhtar is on a distinguished road
Default Re: My New Ghazal: Waheed Akhtar Wahid


Dua kay saath

1- ham ahl-e-junoon ko masti ka jab jaam pilaya jaey ga...
lekan kia mast hona junoon kay baad ki koi manzil hay....?

Yahan lafz hai "ahl-e-junoon", matlab yeh keh janooni, aur janooni jab masti main aata hai tabhi us ak janoon jaagta hai

Phir muhawara tan LASH GIRAYE jaati hai. Lash Giran matlab Qatal Karna.

Phir Lash say muraad "Bay His" log bhi hotay hain.

2- doosra shear

yahaan lafaz "sakta" typing ki ghalti hai, yeh lafaz hai "larza" (shukriya tojeh dilanay ka)

3- teesra shear

yahaan lafaz wafa bhi typing ki ghalti hai, yeh lafaz hai "jafa" (shukriya tojeh dilanay ka)

main aksar oqaat lines doosari composing say copy/paste karta hoon, to baaz oqaat lafat rehjaatay hain


4- App azar ki taareekh parhain to maloom ho ga keh wo Hazrat ibraheem kay walid ka naam tha jo but trashtay thay aur baar baar tawajeh dilnay kay drstage ki taraf nahin aye... Aur waisay bhi puranay dor main behtareen sang tarash ka behtreen sang shanas hon bhi lazim-o-malzoom tha


5- Rehnay dain aisay hi.. wo final nahin hai abhi tak (jab final hoga to update kar doon ga) Balkeh mustaqbil main, main zer-e-ghor shair ko sirkh kar diya karoon ga

Number 2 aur 3 ki typing update kar raha hoon

Balkeh main nain aik misra behtar kar diya hai "Jahan bin dolat insaaf naihn" ko main nain kar diya hai "jahan muflis ko insaaf nahin"

Bohat bohat shukria dobara tanqeed ka.... Yeh mujhay zinda rkhti hai, kyoon keh main shairi waqt guzari kay liye nahin karta, main is main dwaam chahta hoon.

aap kay jawab ka intazaar rahay ga...
__________________
Aap ki Duwaon Ka Taalib,
Waheed Akhtar Wahid

To see all of my posts, please click here.


Last edited by waheedakhtar; 05-11-2008 at 12:31 PM.
Reply With Quote