Quote:
Originally Posted by azam_hfd Waheed Ahmad Wahid sahb
shear itna ooncha hay ke ham jaisay tifl-e-maktab agar is ki tashreeh karain gay to aihtmal hay ke ziadti na kar baithain . lihaza agar aap aaj sham ko Amjad Sahb say is tashreeh krwa lain aor phir us say hamain bhi mustafeez farma dain to aap ki fayyazi say ham bhi faizyab ho sakain gay. aap ki duaon ka mutmanni
azam |
Shukria Janab keh aap nain mujhay shairi kay maktab ka "Tifal" kaha. Yeh meray liye aizaz ki baat hai. Mera bhi yehi khayal hai keh jist din main nain apnay aap ko "shairi ka ustaad" samjha liya, meri shairi ka zawaal shuru ho jaye ga.
Shayad yeh waiqi meri samjh say ooper ho.
Main ab mazeed koi comment nahin doon ga warna yeh zaati bahas chir jaye gee, aur main is khoobsoorat forum ko zaati bahas say ganda nahin karna chahta...
Waisay bhi jahan do damagh hon, wahan aara maain tazaad ho sakta hai..
Bohat chahat kay saath, apna khyaal rakhain...