Re: Ghazal By Hasan Bhati | | Azeem sahib,
Tanqeed ka shukria, tanqeed aadmi ko betar ki taraf lay jaati hai magar agar tanqeed barye tanqeed na ho... Meray hissab say jo main nain post kia hai wo bilkul theek hai...
Aur rahi Amjad Islam Amjad waali phabti ki baat, to main nain burra nahin manaya...
Meray is reply ka Burra mat manye ga, izhaar aur khyalaat main tkrao hota rehta hai...
Zara aap khud hi in do misron main zara sa taluq to qaim karnay ki koshish karin:
Rahzan Ki Tang Damani Nazar Aane Ke Baad
Apni Daulat Ka Hua Andaza Lut Jaane K Baad
Mery hisaab say taaluq ki kami hai... Mera maqsad tanqeed karna nahin hai, main nain to Bhattii sb. kay shair kay husan ko dbaala karnay kay liye aik khoobsoorat mashwara diya hai kyoon keh mujhay un kay andar mustakbil ka aik acha shair nazar aya hai.
Last edited by waheedakhtar; 05-11-2008 at 08:32 AM.
|