Quote:
Originally Posted by azam_hfd ghazal jis ki bhi hay jaisi bhi hay..... waheed akhtar waheed sahb ka tabsara zabar dast hay...
bahar haal jis khami ki taraf muhtram waheed sahb nay ishara farmaya hay usay " Do-lakht" hona kehtay hain. jo ke mazkoora ghazal mein kahin nahin hay... pehla shear to hasil-e-ghazal hay... bura na maniay to janab Amjad Islam Amjad sahib say kahiay ke woh kuch din aor aap ki suhbat main rahain ta ke bohton ka bhla ho....
khair talab
ikram azam |
shukriya azam sahab
waheed sahab bhi achha likhne ki koshish likhne ki koshish kar rahe hain
main bhi ek taweel arse se taba aazmaai kar raha hoon aur lagta hai abhi bohot seekhna
baqi hai
aap ko ghazal ka pahla sher hasil e ghazal mahsoos hua..zarranawazi hai
khair andesh
hasan bhati