Re: Muqabla-e-Tarahi ghazal.. May-08 | | wah boht "lazeez" behs paRhnay ko mili....
bahar haal aik baat hay........ agar singing kay tareeqay say wazn sahih ho sakta hay to boht achi baat hay lekan mera mashwara hay ke tarz banatay huay asatiza-e-ghazal ko hi zehn mein rakhna chahiay na ke malkoo aor Jazzi B ko .....
maslan
GuloN mein rang bharay bad-e-naubahar chalay.
kiya hay piar jisay ham nay zindgi ki tarah
wo aashna bhi mila ham say ajnabi ki tarah
buray naseeb meray vairi hoya piar mera
nazar mila kay koi lay gya qrar mera.
kabhi kaha na kisi say teray fsanay ko
najanay kaisay khabar ho gai zmanay ko.
to kia yeh tay hay ke ab umr bhar nahin milna
to phir yeh umr bhi kiooN tum say gar nahin milna.
waghera waghera
khush rahiay aor aisay hi khush kartay rahiay....
aap ka bilkul apna
azam
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |