Bohat shukria Ejaz sahib.
Main asal main shair kehnay kay liye tareqa-e-taqtee istamaal nahin karta. Jo bahar mujhay samajh aa jaatee hai, us ki tarz (singing) bana kar us main misray laga daita hoon, aisa mujhay aasaan lagta hai aur amooman main 15/20 mins main 5-7 shairon ki ghazal/nazam keh laita hoon. Main nain kuch kalam is forum per post kia hai, us ko perh kar aap ko andaza ho ga keh is tareeqay say main wazan say nahin hatta...
App ka mashwaron ka talbga,
Waheed Akhtar Wahid.