Quote:
Originally Posted by waheedakhtar As-Salam-Alaikum Mohtarma "kanch ki mehroo",
Moadbana arz hai keh agar hum misra-tarah ko kuch istarah badal dain to wazan aur bahar kay hisaab say behtar ho jaye ga.
Wafa mai ab to yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Yah phir
Wafa mai hum nain yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Khair Andesh,
Waheed Akhtar Wahid |
wa-alaikum-as-salam Jnab
ager wazn k hawaly se dekha ja'ay to mera hkyal hy misra mukamal hy... aap aik bar phir is ka wazn check kr leN... ager maiN is misry ki behr ki taqtee likh duN to shayad aap ko samajhny meiN aasani ho saky... is misry ki taqtee kuch youN hy:
mfa - ilun - fa'ila - tun - mfa - ilun - fa-lun
yaani k:
wfa - m'ab - y'h'nr - ikh - t'ya - r'kr - na - hy
mera khyal hy k ab aap ko is misry ka wazn krny meiN aasani rahy gi
(sorry Mehroo Sahiba ki jaga maiN reply kr raha huN... chuNkay wo bhi kuch masroof haiN in dinoN to socha maiN hi ye point clear kr duN...)