Re: Muqabla-e-Tarahi ghazal.. May-08 | | As-Salam-Alaikum Mohtarma "kanch ki mehroo",
Moadbana arz hai keh agar hum misra-tarah ko kuch istarah badal dain to wazan aur bahar kay hisaab say behtar ho jaye ga.
Wafa mai ab to yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Yah phir
Wafa mai hum nain yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Khair Andesh,
Waheed Akhtar Wahid |