Meri Ghazal | | Aik ghazal share kar raha houn aap ki aara ka intezar rahay ga.
Zeest kay jhamailay hain waqt ki rawani hai
teray meray chehray par aik si kahani hai
daikhtay hain hairat say aankh jo dikhati hai
umr ka bharosa kiya jab lahoo hi paani hai
ranj jo uthatay hain kiya bataain yaaron ko
dil ka haal jaisa ho bazm tu sajani hai
sau tarah ki fikrain hain anginat masaail hain
roz-o-shab ka jalna hai yeh bhi kiya jawani hai
hai giran magar phir bhi bar-e-gham gawara hai
rooh jis say bojhal hai aur hi girani hai |