Quote:
Originally Posted by cute mary Mehroo Sahiba Meherbani Farma Ker Yeh Wazeh Kardein K Ghazal Ko Girah Lagane Se Kia Muraad Hai?apki Meherbani Hugi
Apna Khayal Rakhyega |
ASAK
Cute Mary jee "giraah lagaane" se muraad hai ke aap kii ghazal may kisi aik shair may tarhii micra aanaa zaruurii hai.
Micaal ke taur per:
Jigar pe zaKhm bhii khaakar maiN muskuraaooNga
"Wafa may ab yeh hunar iKhtiyaar kerna hai"
Yeh ooper wala shair girah ka shair huva.
MuKhlic,
Qassim Mirza Ali
:Qassim: