waday wafa k un se nibhaey na gaey
kia kia sitam is dil pe dhaaey na gaey
her mulaqat pe ik derd neya milta raha
na milnay k mager bahanay banaey na gaey
her nishani pyar ki wapis mili mujhay
lekin sapnay mere un se lotaey na gaey
meri wafa ko hi meri jafa samjha geya
kia kia jurm hum se manwaey na gaey
her khata ki saza Majid dugni mili mujhay
un k sitam mager hum se bataey na gaey