Is se pehle ke koyee jaan se jaaye aajaa | | Zindagi tere bina mujh ko sataaye aajaa
Raat bhar yaad teri mujh ko jagaaye aajaa MaiN bulaaooNga to chahat ka bharam TooTay gaa
Baat to jab hai ke bin mere bulaaye aajaa Apni hasti ko to maiN kab ka luTa baiTha tha
Aabroo ishq ki haathoN se na jaaye aajaa Zeest rehti hai khafa mujh se, mujhe daikh to lai
Jaanay kis roz ye daman ko chuRaaye aajaa Dhoop maiN jaltay huay umr to guzri hai meri
Aakhri waqt to mujh pe bhi hoN saaye aajaa Tujh ko dekhooN to tamanna koyee jeenay ki uThay
Warna dunya mujhay ek aaNkh na bhaaye aajaa Is se pehle ke sahay rog tu pachtaaway ka
Is se pehle ke koyee jaan se jaaye aajaa
__________________ ******************** ******************** **** Adaab teri bazm ke jeenay nahiN daitay DeewanoN ko jeenay ki tamanna to baRi hay
(Qabil Ajmeri) |