Tamaasha Keya Falak Dikhla Raha Hai! | | Tamaasha keya falak dikhla raha hai! Yaqeen aayaa naheen thaa,aa raha hai Lahoo mein aa gai kitni safaidi! Koi apna hi dil barma raha hai!! Aqaarib mein bahut hai sard-mehri Ragon mein khoon jamta jaa raha hai Kisi ki yaad aai misl-e-khushbu Koi phir kunj-e-dil mahka raha hai Suno tum ghaur se,waadi mein koee Mahabbat kaa taraana gaa raha hai Yahaan insaan ke haathon hi aksar Lahoo insaan kaa bahta raha hai Chaman mein baaghbaan gulcheen bane hain Huwa aei Phool aeisa baarhaa hai
Last edited by tanwirphool; 04-23-2008 at 03:09 AM.
Reason: Decapitalization of the letter 'N' from the Ghazal
|