Raye shumari baraye muqabla-e-nazm goi.. April-08 | | 
is maah muqablay k liye jo mozu muntakhib kia gaya...woh hai ;
~Baarish~
humaisha ki tarah is martaba bhi bohat say mu'aziz sathiyoN ne apni khubsoorat kawishat k sath muqablay maiN shirkat ki...hum unke shukr guzar haiN...
nataij ka ailan judges ke mushtarka faislay par mabni hoga...judges say guzarish hai k woh 30th April tak humaiN apne faislay say agah kar daiN...judges har kawish ko 1-10 tak marks day saktay haiN...aakhir maiN tamam marks ko jama kar k hatmi nataaij ka ailan kia jayega..
humaray Mohtaram judges k naam darj-e-zail haiN;
Sohail Malik, Anis Hasan, Aatif Saeed, Zehrab, Saraabs, saahir, MEHTAB, Kanch ki Mehroo & WanderingThoughts
Evalutaion ka criteria yeh hai;
Andaz-e-beyan (rawani, alfaz ka ista'amal, takhayyul) = 5
mozu = 5
total marks = 10
muqablay maiN shamil nazmaiN yeh haiN: 1: Autam
barish
Baarish aayi ..
Phir Ek Baar...
Baar Baar aane Se
Use Rokega Kaun ?
Baar Baar Aane Se Use Rokega Kaun ..
Mere Darde Dil Ko Samjhega Kaun??
Dard Hain Jo Mere Dil Main
Woh Chupaaye Kaise ../
Chupaane Se Dard Mit Jaayega Kya?
Mit Gaye Hain Jo Dard..
Mit Gaye Hain Jo Dard...
Woh Vaapas Aate Kyun Hain ?
Aanewaale Pal ko Bheetewaale Pal Se Jodne de?
Ya Phir Jode Do Use Rangbhare Khwaabon Se?
Rangbhare Khwaabon Se..
Khushisaji Baaton Se..
Kya Ab main Roshan Karun.. Meri Yeh Tanhaaiyan?
Aur Ek Barsaat Ki Aagaman Se ...
Khushi Ki Ek Jhoke Se ???!
--------------------------------------------------- 2: Pices
" BAARISH"
JANEE KIYAA BAAT HEE IK MUDAAT SEE ISS MULK PAR
MULK=COUNTRY)
AIK ANJANI SEE BENAAM MAGER QATIL BAARISH
SHAB_E_TAREEK KI ZULMAT KI TARHA BARASTI HEE
JIS SEE KHUSHBOO KI FIZAA MAND HUWEE JATI HEE
(MAND=DIM)
JANE KIYA BAAT HEE KIYON PHOL SEE NAZOK BACHEE
APNE MASOOM HASEEN KHABON MEEN DAR JATE HEEN
JANEE KIYON BARG PARESHAN KI BHI AAHAT SUN KAR
SAANS HAR FARD KE SENEE MEEN ATAK JATI HEE
JANE KIYON BACHON KO MAKTAB KI TARAF BHEJTE WAQAT
MAOON KI ANKHOON SEE SELAAB OOMAD ATEE HEEN
JANEE KIYA BAAT HEE IK MUDAT SEE ISS MULK MEEN
(MULK=COUNTRY)
KHON KI BAARISH SE HAR ZEHIN SULAG UTHAA HEE
HAR GHARI QAEED SE BHAGE HUWE MUJRIM KI TARHA
SAR PE LATKI HUWEE TALWAR NAZAR AATI HEE
HAR KHUSHI REET KI DEWAR NAZAR AATI HEE
KAASH AESSAA HO KEH IK NOOR KI BAARISH BARSEE
ORE GHATAA TOOP ANDHEREE KI RADAA PHATT JAYEE
KASH ISS SEHMEE HUWEE LASHKAR_E_INSANI MEEN
HAR KHUSHI MAAL_E_GHANIMAT KI TARHA BATT JAYEE
------------------------------------------------- 3: denarouse
BAARISH
Barish ka pehla qatraa aa kay
Jab who pyasee Zameen say milta hay
Us millan kee khushee main bay ekhtiyaar
Zameen kay ruu ruu say
Mast Khushbu ummad see aatee hay
Or thandee hawa kay mast jhonkay
Who khushbuu samytay bahn'hun main
Chaltay hain unchee nichee rah'hun main
Zameen kay syraab honay ka jashan mannaty hain
Chahar soo khushbu bakhyar daytay hain
Dil kay bhee hotay hain hazrun rang
Jitnay moosam hain sarry es main hain
Chahatun kay hazarun rang gullab
Pyaar kay jitnay hain moosam sarray
Kooray kagaz kee trehan hain abb tek
Kabhee too koiee awarra baddal
Pyaar ka ban kay banjarra badal
Bhoolay say aa kay kabhee barsay too
Rooh tek ess say syrab hoo jaay
Or phir ess ke khushbu say
Dil ke dhertee gullab hoo jaay
------------------------------------------ 4: N@r@z
baRISH
ES SAY PEHLEY BE HOA KARTI TEE
MAGAR YE AB KE BAR
SUB GHONCHO KO APNE SATH LE KAR
PIAR MUHABAT KI HAR AIK BAT LE KAR
UJRE POLO KO MANANE AYA
ROTE KALIOUN KO MANANE AYA
SANDESA HALET-E-ZAR KA BHI
KISI KO MUDAT KE INTIZAR KA BHI
PIAS BUJHANE AYA
UMEED DELANE AYA
SABZA ZAROON SAY ES NE JUK JUK K
AB K BAR TASLY DE HAIN
SUB BAHARO KI ES NE MENTE KAR KE
NAY UMEED
NAYA JAZBA BAKHSHA,
MUDAT SAY BEKREY HOI KHAK-E-ZAMIN
DUA DTE HOWE TAKTI HI NAHI
PAREND CHAREND MUSKURANE LAGE
PEGHAM CHARO SO PELATAY HAIN
SHUKRIA
MEHRUBANI
AUR NAWAZISH HAIN
PEHLE BE HOA KARTI TEE
MAGAR YEH AB KE BAR
REHMAT-E-KHALIQ HAIN
BARI HASSEN SEE
MA KI DOWAOO KI TARAH
bARISH HAIN.
---------------------------------------------- 5: Faridnawaz
BAARISH
Ye Dharti
Lahaoo Rang Ho Rahi Hee
Lamha Ba Lamha
Khoon Barastaa Hi
Ja Raha Hee
Jis Tarha
Barish Meen
Bijli Ki Chamak
Badal Ki Garaj
Sunai Deti Hee
Isee Tarha
Iss Insani Khoon Ki Baarish Meen
Cheekheen,Karaheen
Sunai Deti Heen
Ye Kesee Insani Khoon Ki Barish Hee
Jo Barasti Ja Rahi Hee
Ye Baarish
Kab Barasna Band Ho Gi???
------------------------------------------ 6: fazal khan
BARISH
barsat main
jab barish hoti thi
hum park main behta karty thy
barish main bheega karty thy,
aaj
waisa hi barsat ka din hi,
park k bench pe
tanha !!!!
betha bheeg raha hon,
jin main hum tum sang bheegy thy
un lamhon ko soch raha hon
------------------------------------------------ 7: cuteangel
~*~Phir Wahi Barish~*~
Yeh baarish ka mausam,
Aur Tip tip girti yeh bundein.
Jee karta hai kheedki se
Haath badahke inhe chulein
Yeh sochte hi magar ek yaad
Mann mein ghar kar leti hai,
Ek aise hi barish ke mausam mein,
Kisine is kanpte haath ko thama tha,
Thand ki lipat mein aaye is bande pe
Apna jacket pyar se dala tha,
Phir apna rumal nikal kar kisine,
Mathe ka sari pani paunch kar ,
“Kahin thand na lag jaye tumhe”,
kahe kar apni gadi mein bithatya tha
Phir Ishi khidki ke pass gaadi rokar
Mere andar aane tak intezaar karta raha.
Jo maine haath hila kar kaha
“suno, ab tum jao”
aisa gaya who ajnabee,
ke laut kar phir na aaya kabhi,
laut kar phir na aaya kabhi……
--------------------------------------- 8: shaz malik
BARISH
USS KA NAAM
MERI KHIDHKI PAR
BOONDEIN GIRA KAR PAINT KARTI HAY
MUJHE AAJ BHI YE YAAD DILANE K LIYE
K WOH
MUJHE YAAD RAKHE HUYE HAY
TO PHIR TUM
USSE KAISE BHOOL GAYI!!!!!!!
HAWA
AAJ BHI SHOR MACHATE HUYI
MERE DARWAZE PAR
PATON KI PAYEIL PEHAN KAR
BAIN KARTI HAY
AUR YE KEHTI HAY K ZARD RUTON MEIN BHI
USS NAY THUMHARA SATH DIYA THA
SABZ RUTTON MEIN
TO PHIR TUM
USS KO KAISE BHOOL GAYI!!!!!
TO AEY BARASTI BARISHON
AEY SANSANATI HAWAYO
JUB USS K DEIS MEIN JANA TO
BASS ITNA HI KAR DEINA
MERE ASHKON KI CHAND BOONDEIN USS PAR BARSA DEINA
MERI ARZOYON K MARQAD SAY
KUCH KHUSK PATE USS K PAYON MEIN BICHA DEINA
WOH JAAN JAYE GA
MEIN USSE BHOOLI NAHI
HAA PEHCHAN JAYE GA!!!!!!!!!!!!!!!!
------------------------------------------------- 9: shikwa
“BARISH OR YADAIN……”
Ak Bheeni Khushboo Taiz Hawa Ka Jhonka Ly Kr I Hy
Kuch Bety Lamho Ki Yadoun Ka Jhola Ly Kr I Hy
Jab Barish Ki Pehli Bondain , Hathon May Samouya Karty Thy
Phir Nannhi Nannhi Bondoun Say Chehray Ko Bhigouya Karty Thy
Barish Ka Maza Leny K Lye Hum Bagh May Jaya Karty Thy
Or Aik Pagal Bhanwray Ki Tarha Har Phool Ko Choma Karty Thy
Kehny Ko Bht Nat Khat Thy Magr , Har Kaam Bighara Krty Thy
Or Bholi Bhali Soorat Sy Hm Sab Ko Manaya Karty Thy
Kaghaz Ki Naao Bana Kr Ham Paani May Chalaya Karty Thy
Un Naao K Aik Kony May Hm Aik Deep Jalaya Karty Thy
Barish Ki Boundo Sy Hm Usy Khud Aap Bujhaya Karty Thy
Wo Bachpan K Din Beet Gay , Jb Mil K Sitary Ginty Thy
Ab Tum Pardais K Baasi Ho , Or Hm B Tmhary Saath Nhi
Barish Ka Maza B Rooth Gya , Shayad Ye Hmy Ab Raas Nhi
Suno…..!
Boundain Hatho May Lay Kr Hm Tum Ko Pukara Krty Hain
Teri Yad K Deep Jala Kr Hm , Barish K Hawaly Karty Hain
Hm Ab B Sitary Ginty Hain , Baghon May Jaya Karty Hain
Barish Ki Boundon Ky Hamrah Sandeesy Rawana Krty Hain.
Ak Pal Ko Tm Mehsos Karo Wo Mosam Phir Sy Aya Hy
Jis Pal May Hazaron Khushian Thi’n Wo Mosam Phr Sy Aya Hy
Hmy Kal B Tum Sy Raghbat Thi , Hmy Aj Bhi Tm Sy Raghbat Hy
Ksi Roz Hmari Dunya May Sawan Ki Tarha Tum Aa Jao….
Us Roz Hmari Chahat Ko Takmeel Inayat Hojay …………….!!!
-------------------------------------- 10: Anju
Ay Moj-e-Saba
KuCh TOO hi bata!
Kahan hai manzil meri
rukay ga kahan mera safer!
dhoondoon kahan mae is ka nisha'n
ay moj-e-saba
kuCh Too hi BaTa!
MeRay sehra-e-DiL per
BaRish to rooz Barasti hai
Kiyoon Mun Pher Bhi hai piyasa
Ay MoJ-SaBa
KuCh Too Hi BaTa!
Khawaboon ki raFaqat mae
Lafzoon ki zakhamat mae
KonSa isam hai chupa
Ay Moj-e-Saba
KuCh Too Hi BaTa!
Naseem-e-Bari jo aai hai
kia paigham-e-wafa lai hai?
Qismat mae kia ab bhi GoRi k hai DhokA
Ay Moj-e-Saba
KuCh Too Hi BaTa!
NeeNdien GunWa Kr Bhi
RiShTay suB khoo kr bhi
KiA TaQdeeR mae meri
Likhi Hai siRf RuSwaai??
ay MoJ-e-Saba
KuCh Too Hi BaTa!!!!!
---------------------------------------------- 11: Mom0
KhooF
Her GuzerTi RuT
atkaliyan krti Bad-e-NaseeM
SaWal Mujh Sy kerti hai
Kon hai jo dherkun ben ker
karoobar-e-zindgi chala raha hai
khud zehr-e-gham peetay howy bhi
Aouroon ko jam-e-nishaat pila raha hai
Koi to hai jo
WaFa K JuGnoo'on ko muthi mae qaid krna sikha raha hai
Koi to Hai jo KhUsHboo khushboo
kiran kiran
bun kr fiza ko mehka raha hai
Chamka raha hai
wo tery mun ka ChooR
Jo TuJh Sy TuJh Ko Chura raha hai
Mausum ki pehli barish ban kr
Mun ko try bhigoo raha hai
jo nerm lehjoon sy kund samaatoon ko jaga raha hai
jo pakray daman tra
chahatoon k safer pr ly ja raha hai
mae Sub SuNti hooN
Mery LaB Waa Hoty hain
maGeR!
Rasmoon' reetoon ki GehRi KhaAii
LaFzooN ki qaBer Bun Ker
Mery anSoo'on ko rah day dayti hai!
AuR Ye
Num AnkH PerHnAy ki BhaLa
FuRsaT
Kisay Hai!!!
---------------------------------------------- 12: papa ki shehzadi
Uff yeh barish
yeh bheega mosam, yeh barasti bonden
yeh bheegtay pair, yeh nikhartay phool
or yeh dhula dhula manzar
Woh janta tha mujhay yeh mosam
hamesha he bhaata hai
so woh yeh mosam meray naam ker gaya
ek bheegti shaam mujh se juda ho gaya
us nay socha mosam k husn main
mujhay uska gham halka lagay ga
Magar woh pagal yeh na jan saka
k us k mon mortay he
sawan ka husn kho gaya tha
yeh o asmaan tha jo ro raha tha
yeh pair bhi udaas ho gaye thay
or saray manzer dhundla gaye thay
or woh...
woh pagal barish ki bondon main
meray aanso naa pehchan saka...
------------------------------------------- 13: Sohail2008 
------------------------------------------- 14: chalatmusafir
BAARISH
kisee khidhkee maiN hai,
suroor ka ek jhoNka
kisee chhat per hai,
qayaamat barish
is rut ke apne hee fasane haiN,
thahra kahiN lamha bhar,
kahiN ta-qayaamat hai baarish
is kee fitrat bhee insaani hai
jism kee hiddat maiN hai,
saylaab liye,
jaise khushk ankhoN ki suurat maiN,
bin mausam barsaat liye.
meree aNkhoN ne bhee,
rut ek sajayaa hai,
jahaaN,
kaalee ghataoN maiN chand ho roshan
suraj ki aghee per badal khushiyaaN manayN
thandee hawaa ka rut har soo sharmaye
jahaan,
ghutan zadah kothree maiN,
lafz thandak phelaeN
aur
zard jhuree zadah
apne aangan maiN
bachhoN ki aahat per
ghar sajayeN
ghar ka mausam
baahr ka mausam
ek hojaye
aur
chupke se phir baarish ajaaye
--------------------------------------- 15: danmurfi
Khizaan Ki Barish
teray khayal ki barish dareecha e dil mein
gaye dinon kay manazir haseen jagati hai
yeh abr e shaam ameen` hai hamarey jazbon ka
har aik boond mein ik dastaan muqayyad hai
kahin woh pal hain jo ik doosrey ki sangat mein
jahan sey bey khabar apni hi dhun mein guzrey hain
kaheen firaq ki raton mein chandni bojhal
teray udaas mizajon ka pata deti hai
milan ki aas ka nanha sa aik pair kahin
samoom-e-hijr abhi tak jisey gira na saki
yeh kesa abr hai k saal bhar barasta hai
magar yeh jee na kisi tor bhi behelta hai
isey yeh ilm nahin yeh khizaan ki barish hai
baras bhi jaaye to konpal na koi khilni hai
meray naseeb mein yeh barishein hi likhkhi hain
teray wisal ka sooraj nahin nikalna hai
tamam umr inhi barishon mein jalna hai
---------------------------------------------- 16: furqan 
----------------------------------------------- 17: Haya n
'' Baarish...''
.................... ....
Yaado'n Ki Dehleez Pay Baithay
Sapnay Buntay Rehtay Hai'n
Baarish, Mai'n Owr Tum
Khushiyo'n Ka Ik Ik Moti
Sapno'n Mai'n Pirotay Hai'n
Baarish, Mai'n Owr Tum
Khuaab Nagar Ki Paryo'n Kay Sang
Mil Kar Urtay Phirtay Hai'n
Baarish, Mai'n Owr Tum
Daali Daali Pay Urti
Titliya'n Pakartay Hai'n
Baarish, Mai'n Owr Tum
Chahat Ki Barkha Mai'n Bheegay
Kitna Hanstay Rehtay Hai'n
Baarish, Mai'n Owr Tum
Pyar, Mohabbat Kay Jhoolay Mai'n
Jhoola Jhooltay Rehtay Hai'n
Baarish, Mai'n Owr Tum
Chahato'n Kay Mosam Mai'n
Raqs Kartay Raihtay Hai'n
Baarish, Mai'n Owr Tum
Prem Ruto'n Mai'n Bheegay Huway
Háya Kay Sang Chaltay Hai'n
Baarish, Mai'n Owr Tum
-----------------------------------------
18: sidra baig 
----------------------------------------- Note: Is thread maiN judges k ilawa kisi bhi member ki taraf say ki gai post delete kar di jaye gi..
khush rahiye HG Aminidstration
__________________ Signature Removed - Image exceeds 650 px by 350 px
Last edited by kanch ki mehroo; 04-30-2008 at 01:53 AM.
|