shaikh tanzeem | | Is be rukhi ko ab ham jaan-e-wafa kiya naam de mohabbat ki sitam zarfi ko jaan-e-wafa kiya naam de nazdeekiyon ke dar par jab fassle aajayen in qurbaton ko phir ham jaan-e-wafa kiya naam de saahil se jab pareshan har mauj laut aaye dono ke is milan ko jaan-e-wafa kiya naam de ahsas se hai khali kamra chahaton ka andheri chahaton ko jaan-e- wafa kiya naam de |