Aik aur sham hoei tamam teray intizaar mein | | Aik aur sham hoei tamam teray intizaar mein Waqt kutta nahein is haaley byqaraar mein Yeh zindagi bun gaei surey bazaar aik tamasha se Dewana war bhatukta phiroon aub ishq-e-yar mein Kub tuk baney gay duniyaan waley chahut per dewaar Ashiq kabhei jhukey hein hakim key derbaar mein Kiya howa jo fasloon ney ker diya hey humko door Mujh ko to aub hay jeena uskay hi khayaal mein Chah kay bhei bhoola na sakey kurbat kay haseen pal Auskii khushboo aub tuk basii hey merii kayanaat mein |