Re: Aye mairay dil-e-nadaaN, tu mujh pe nazar rakhna | | Halaat wo daikhay haiN, bardasht na ho paayeN
Seekha hai muhabbat maiN, paththar ko jigar rakhna
BarsoN se nahiN soya, ab neend zara kar looN?
Aye maut! mayassar ho, gar god maiN sar rakhna
Ghar ko jo kia sehra, to sab ka bura hoga
Ab mujh ko ghaneemat hai, sehra ko hi ghar rakhna
Jab wo na Saraab aaye, tum jaaN se guzar jao
Wo bhool gaye wada, tum yaad magar rakhna
============
wah janab kya hi kehney hain, bhuat umdah rahi ye kawish, mazeed ka intezar rahey ga. keep sharing
__________________ ( Saqib Sahili )
Jo bhi hai magar kyun hai, ek bar bata dey
Mery pas tery na hone ka koi to sabab ho |