Aye mairay dil-e-nadaaN, tu mujh pe nazar rakhna | | Na apni khabar rakhna, na un ki khabar rakhna Pindaar-e-muhabbat ho, matloob agar rakhna Halaat wo daikhay haiN, bardasht na ho paayeN Seekha hai muhabbat maiN, paththar ko jigar rakhna BarsoN se nahiN soya, ab neend zara kar looN? Aye maut! mayassar ho, gar god maiN sar rakhna Is dil se mere Maula! khwahish hi miTa dena Tu meri duaaoN maiN, itna to asar rakhna DanaaoN ki danayee, barbadi-e-dunya hai Aye mairay dil-e-nadaaN, tu mujh pe nazar rakhna Ghar ko jo kia sehra, to sab ka bura hoga Ab mujh ko ghaneemat hai, sehra ko hi ghar rakhna Jab wo na Saraab aaye, tum jaaN se guzar jao Wo bhool gaye wada, tum yaad magar rakhna
__________________ ******************** ******************** **** Adaab teri bazm ke jeenay nahiN daitay DeewanoN ko jeenay ki tamanna to baRi hay
(Qabil Ajmeri) |