Re: Raye shumari baraye muqabla-e-ghazal goi.. March-08 | | Haya saheba nay jis baat ki taraf tawajah dialee hai woh nukta meray zehan mein bhi tha aur jin doston nay misra-e-tarah ko istemal nahin kiya tu marking mein is cheez ko mad-e-nazar rakha gaya hai. Jaisa keh main nay marking waali post mein bhi kaha tha keh kuch shurka nay jin mein Haya saheba bhi shamil thein radeef ko "zameen pay aa kay rahay" rakh kay zameen apnay liyay aur dushwar bana li thi aur kuch ashaar kay ilawa baqi ashaar mein woh isay khush asloobi say na nibha sakein jis kay baaic un kay marks kum huay.
Sohail bhai nay bikul durust nishan dahi ki hai keh keh misra-e-tarah kay radeef aur qafiyay ko poori tarah say wazeh kiya jaana chahiyay ta keh koyee ibhaam na rahay.
Anis Hasan |