Quote:
|
Originally Posted by Haya n
mai'n aap tamam judges say yahi kehna chahti hoo'n kay misra-e tarhi
dainay ka maqsad yeh nahi tha kay ghazal main laazmi towr par misra-e-tarhi
mowjood Bhi hona chahiye tha? ...
jab kay marking kay waqt yeh baat nazar andaz ki ja rahi hay...tarhi
muqablay ka consept hi yeh hay kay competition main shamil ghazlo'n main
misra-e-tarhi ka hona laazmi amr hay ...
regards /Allah hafiz
|
Haya Saaheba nay aik ehm baat ki taraf tawajju mabzul kerwaee hay aur maiN un ki taeed maiN kuch baataeN aap sab say kerna chahuN ga.
tarhi ghazal maiN kuch baatoN ka khayaal rekhna zaruri hota hay jin maiN
aik baat yeh bhi hay keh miSra e tarah ko kaisay istemaal kia gaya hay aur
girah kaisay lagayee gayee hay. marking kertay huay shaer ko achee girah
laganay per is ka faedaa dia jaata hay aur tarah ka miSra istemaal nah
kerna waala nuqSaan uThaata hay.
laikin is say pehlay jis cheez ki maiN nay nishaandehi ki hay woh miSra e
tarah kay radeef aur qafiay ko wazeh kernay ki ehmiet hay. ager yeh wazeh
nah kiay jaeN to likhnay waala apni marzi say in ka intikhaab ker laita hay
jaisa keh is muqabilay maiN hua. behter to yeh hay keh qafiay aur radeef kay
saath aSal sher jis say miSra e tarah lia gaya hay mukamal day dia jaey aur ager
behr bhi bayaan ker di jaey to naey likhnay waloN kay liay is maiN bhi aasaani ho
jaey gi.
yahaN tarhee miSra tha
'hamaray bakht kay taaraay zameeN peh aa kay rehay'
is miSray maiN ager bataya nah jaey to qafia zail maiN say koee bhi ho sakta hay aur radeef us kay mutabiq
bakht
taaray
zameeN
aa
rahay
isi wajah say kuch logoN nay 'taaray' ko qafia lia hay aur kuch nay 'aa' ko.
Haya saaheba nay girah achee lagayee hay aur pehlay 3 ashaar ko acha nibhaya hay laikin baad kay ashaar maiN woh 'zameeN peh aa kay rehay' ko Saheeh nibha nahiN sakeeN jis ki wajah say un kay number kam huay. jabkeh deeger kuch dostoN nay girah naheeN lagayee aur us kay namber kam huay laikin deeger ashaar maiN nisbeten behter terz e bayaan ka faedah uThaya.
wasalam
sohail malik