Re: Raye shumari baraye muqabla-e-ghazal goi.. March-08 | | Assalam o alaekum
aik baat jo muntazemeen say arz kerna chahoN ga woh yeh hay keh tarah ka miSra detay huay kahiN qafiay aur radeef ka ziker nahiN kia gaya (kam az kam mujhay to nazar nahiN aya) jis ki wajah say logoN nay qafia radeef apni marzi say chuna aur yuN ghazloN ka mawazna kerna ghair fitri ho gaya.
meri nazer maiN shurkaey muqabilah ki karkerdegi ki buniyaad per marking zel maiN hay. is martaba achhay likhnay waloN ki jaanib say bhi bayan ki kamzori kalaam maiN nazer aati rehi aur chand ashaar kay ilaawah baaqi ashaar maiN kuch nah kuch buniyaadi naqaeS mojud rehay. is ki aik wajah zameen ka mushkil hona bhi hay. 'zameeN peh aa kay rehay' to mushkil hay hi laikin sirf 'kay rahay' nibhana bhi aasan nahiN aur is maiN bhi logoN nay ghalatiaN ki haiN.
1. Mukhshif 1 + 2 = 3
2. Mobie 3 + 3.5 = 6.5
3. Saraabs 3.5 + 3.5 = 7
4. Farid Nawaz 2 + 3 = 5
5. Smily anju 1 + 2 = 3
6. Haya 3.5 + 3.5 = 7
7. bazeecha e gham 1 + 2 = 3
8. Farhan 1 + 2.5 = 3.5
9. Amirmuaan 3 + 3.5 = 6.5
khair andesh
sohail malik
__________________ Sohail Malik
Last edited by sohailmalik64; 03-28-2008 at 02:34 PM.
|