Un se Bichar ker bhi zinda hon | | un se bhichar kr bhi zinda hon ye zabt-e-hayat ka kamal
meri zindagi to hain bus uljhanain, meri zindagi sawal
meri wajod ka reh guzar, hai dast-e-neest k muqam per
main bura waqt koi ruka hua, meri maazi hi mera haal
chahey jaisi ho guzar-e-zindagi, mery chehry pe koi khalish nahi
meri khwahishain hain munjamid, kya urooj kya zawaal
meri Aadatoon se hain bigarh chuki, ab akhtar-o-hilal bhi
Aati hain kehney mery sehan main har shab, dewan-e-ghum nikal
main fikr-o-ghumaan main bata hua, ajab kashmakash main phansa hua
sir-e-Aaina hi rahain nachtey, mere haqeekaton ke khayal
sub kuch hua kuch na raha, hona tha jo wo na hua
ishq, dard,judai,hijar , kahan rehgaya akhir wisaal?
lot Aao jo kabhi bhool se tery jawab ko gar hum na rahe
en wiraniyon se zara pochna, kaise rahey mery maah-o-saal
yun phir palat kr sada na de, kaheen dard-e-khwabida tu jaga na de
sada'ain de raha hai tery waqt ko, maskan-e-tkhaiyul ka khayal
ab teergi or main yak badan, or lafzoon se mera khelna
his-e-wehdat se hon dil ko saraabta, or majmo se ho malaal
khush bakht hai to har hal main, SAQIB gar yun bhi hua
uske husan ka to kya hi kahian, shab-e-ghum bhi rahi bemisaal
__________________ ( Saqib Sahili )
Jo bhi hai magar kyun hai, ek bar bata dey
Mery pas tery na hone ka koi to sabab ho |