As'salam O Alaikum,
arsey baad kuch likha tu socha yahan aap sab k saath share hi kar loon, na ye ghazal hai na nazm............bas hai kuch kach'cha pakka sa
.................... ....................
Jeevan jeena jaa.n jokhoo.n ka kaam hai janaa.n
jeevan jeena kab itna aasaan hai janaa.n
us ko meri aankh sey shikwa, kyu kar itna roti hai
us sey kehna aansu peena kab itna aasaan hai janaa.n
umaar ki akhiri seerhi per main qadam rakhoo.n tu kaise janaa.n
saans charhi ho, charhna zeena kab itna aasaan hai janaa.n
jaan k dushman teri aik ada pe main tu jaa.n waroo.n
hont pe amrat, dil main keena, kab itna aasaan hai janaa.n
merey haal pe hansney waloo.n, ishq kabhi kar k dekhoo
hont seeley hon,zakhmi seena, kan itna aaasaan hai janaa.n
Gufi teri wus'sat-e dil ki, dil sey main tu qail hon
dil main rakhna dukh ka khazeena, kan itna aasaan hai janaa.n
--------------------
Shagufta Basit
10th March, 2008