View Single Post
  #1  
Old 03-06-2008, 10:17 PM
Aisha Baig's Avatar
Aisha Baig Aisha Baig is offline
I respect my self
 
Join Date: Jan 2008
Location: Umeed*Main*NaUmeed
Posts: 18,400

Country:

Tutorials: 6

My Mood:
Thanks: 3,484
Thanked 1,093 Times in 822 Posts
Nominated 42 Times in 17 Posts
Nominated TOTW/F/M Award(s): 2
Rep Power: 858
Aisha Baig has a reputation beyond reputeAisha Baig has a reputation beyond reputeAisha Baig has a reputation beyond reputeAisha Baig has a reputation beyond reputeAisha Baig has a reputation beyond reputeAisha Baig has a reputation beyond reputeAisha Baig has a reputation beyond reputeAisha Baig has a reputation beyond reputeAisha Baig has a reputation beyond reputeAisha Baig has a reputation beyond reputeAisha Baig has a reputation beyond repute
Awards Showcase
Mod of the Month 
Total Awards: 1
Default main k sehra main kashti chalata raha

Tamam bradran -e- islam or sistran -e- islam ko aik bar phir




main aik bar phir aik nai nazam k sath pasand aay ya nahi bataiye ga zaroor intizar rahy ga
khas tour par senoir sahibaan agar nazar dalain or koi ghalti nikalain tou wellcom plz

MAIN KEY SEHRA MAINCHALATA RAHA

Main k sehra main kashti chalata raha
Aansowon ka smandar bahatha raha
din guzarty rahy waqat jata raha

Aansowon ka smandar bahatha raha


dill ki dharkan main wo, meray tan man main wo
chand ko dekh kar, chandni raat main
mujh ko bichra sanam,yaad aata raha

Aansowon ka smandar bahatha raha


bus isi aas main din guzartay rahey
kay tou myra hy, ye soch kar dill ruba
dill ko apnay, taasaalli dilaata raha,

Aansowon ka smandar bahatha raha


woh bhi kiya din thy jab beqarai main tum
mujh ko har baat such such batatay rahay
waqt ko main hansi main urata raha

Aansowon ka smandar bahatha raha



tou bana meray owr main tyray wastay
aik naghma fizaoon main bikhra howa
tujh ko sham-o-seher gungunata raha

Aansowon ka smandar bahatha raha


zindagi myri manind-e-tareek shub,
jis main teri hi yadoon key chund ik diye
bus jalata raha awr bujhata raha

Aansowon ka smandar bahatha raha



aik toufan uttha, jo ura lay gaya
zindagi kay waraq badaloon ki tarah
Tujh ko bhi lay gaya,.. main bulata raha

Aansowon ka smandar bahatha raha



Main k apnay muqaddr say hoon shikwa zun
Tha kisi awr say munsalk tera Naam
main too bus younhi likhta, mitata raha

Aansowon ka smandar bahatha raha


Aansowon ka smandar bahata raha
main k sehra main kashti chalata raha
__________________

Last edited by Aisha Baig; 07-18-2008 at 04:03 PM.
Reply With Quote
The Following 8 Users Say Thank You to Aisha Baig For This Useful Post:
Aatif Saeed (07-26-2008), Aik-Dukh (04-07-2008), ankhan3350 (07-31-2008), muskan83 (07-30-2008), saharey2020 (07-28-2008), whispers (07-18-2008), ZaheerZR (05-27-2008), zeemoo (04-13-2008)