humaray bakht ke taaray zameeN pe aa kay rahe
sabhi inaam tumhaaray zameeN pe aa kay rahe
humeiN jo log thay pyare falak pe jaatay rahe
tujhe jo log thay pyare zameeN pe aa kay rahe
kahiN jo zulf ghani ho kabhi jo chehra diya
laga ke tere ishaare zameeN pe aa kay rahe
koi khata hui humse ke ik zamana hua
tabhise humse bechaaray zameeN pe aa kay rahe
qashish hai is mein koi, seher tak jo jaaga raha
dikha,farishtay yeh saaray zameeN pe aa kay rahe
farhaad-o-qais thay, ik waqt meer aur ghalib
tamaam ishq ke maare zameeN pe aa kay rahe?
falak ka shola hai har roz jalta hai, maana
faqat ik roz guzaray, zameeN pe aa kay rahe
nazar mein aaya hai jabse woh phool, andaleeb kay
sukhan mein naqsh utaaray zameeN pe aa kay rahe
mudabbar, suna hai kal ke meri jaan ka dushman,
main jaauN uske bhi waare, zameeN pe aa kay rahe
Mobi