KaheeN wo udaas hota, kaheeN maiN udaas hota | | KaheeN wo udaas hota, kaheeN maiN udaas hota Na wo mairay paas hota, na maiN apnay paas hota Mujhay dostoN ke nuskhay, kabhi raas aa sakay na Mujhay mairay haal chHoRo, yahi iltemaas hota MaiN to lauT kar bhi khush hooN, ke wo baat kar raha hai Kabhi wo zubaaN na khulti, jo maiN aas paas hota Mere yaar ka nasheman, tha baRay ajab nagar maiN Kabhi shehr-e-yaar hota, kabhi shehr-e-yaas hota Ye jo din ko tu hai roya, ye ayaaN na raaz kar day Tujhay aur kuch na hota, shab-e-gham ka paas hota Tera khauf ye ghalat tha, mera dil kabhi bharay ga Tu ghaTa ghaTa bhi hota, to maiN pyaas pyaas hota Dikha mausam-e-baharaaN, to chaman se bhaag niklaa WaheeN maiN Saraab rukta, jo mujhay ye raas hota
__________________ ******************** ******************** **** Adaab teri bazm ke jeenay nahiN daitay DeewanoN ko jeenay ki tamanna to baRi hay
(Qabil Ajmeri)
Last edited by Saraabs; 02-26-2008 at 07:47 AM.
|