walikum asalam..
umda nazm kahi aapne... kuch muqamat par rawani toot'ti hui mehsoos hui... maine kuch tabdeeliyaN ki haiN nazm maiN,, daikhiye;
guzar hua zamana
aaya hai yad phir say
woh pur bahaar mausam... woh piyar ki fizayeN
ik aasmaN khushi ka... thakta na tha barastay
sab ghum bhi dhul gaye thay... khushiyoN k gul khilay thay
chiriya thi chehchahati..
har pair muskura kar.. daita tha apna saya
woh piyar ka samaN tha.. rehtay thay sath hum tum..
chahat ka silsila tha..
tum mujh say rooth jateeN...maiN tum say roothta tha..
yooNhi ulfatoN k saye...dabay paooN waqt guzra..
sahil pe doobi kashti.. aandhi ka nikla bhanwra
tum phoot phoot ro deeN.. maiN toot toot bikhra
sab kuch dhuwaN dhuwaN tha.. maiN tum ko dhoondta tha..
sathi na koi humdam.. sab kuch bichar chuka tha
saya mila na koi.. maiN thak k ro dia tha..
koi na tha maseeha..
tanhaiyoN ne thama.. mera yeh hath us pal
ab tak nahiN hai toota... tanhaiyoN say nata
likha hai aansuoN say... qismat ne yeh fasana..
aya hai yad phir say..
guzra hua zamana..
khayal bohat umda hai nazm ka..
khush rahiye