Pyaasa darya se door ho ga | | Pyaasa darya se door ho ga Pyaas pe lekin ghuroor ho ga Nash-sha-e-gham jab ragoN maiN utray Halka halka suroor ho ga Saari saza ye sochtay kaaTi Kuch to apna qusoor ho ga Bazm-e-tarab phir chHin jayegi Koi bahana zaroor ho ga Khul na sakeNgi aaNkheN apni Jab jab un ka zahoor ho ga Zulm ka dukh wo batlaayeNge Jin ko haq ka sha'oor ho ga Saari haqeeqat khule gi jis dam Zaat ka darya aboor ho ga Marg-e-Saraab asaan nahiN hai Shayed nash-shay maiN choor ho ga
__________________ ******************** ******************** **** Adaab teri bazm ke jeenay nahiN daitay DeewanoN ko jeenay ki tamanna to baRi hay
(Qabil Ajmeri) |