Re: Poetry By Fahim(armaan) | | HIJR KA DARD AUR TANHA DIL.......!!!!! Hijr ka dard aur tanha dil tanhayee mein mera dooba dil dooor talak phela hua hai yaadon say bhara shera dil keisay beyaan karoon aaj kal kitna hai yeh weeran dil ausi nay chora es ko jis ki chahaat mein tha khoya dil apni hee tanhayee mein aksar aus ki yaad mein roya dil jab deikha pyaar ko ruswa hotay tuo dil hee dil mein tarpa dil sub kay hotay es dunia mein hay kitna baybas akela dil gheir sahee yan phir apne sahee yeh baat ab tak na jana dil har ek lamha har ek ek pal aus kay pyaar ko tarsa dil woh bhi kho chuka hai kahein dia tha jis ko kabhi apna dil aab tuo khaal hua har ek say reitha ha ukhra ukhra dil aeisay aina bhi toota na hoga kabhi jeisay toot kar aab kay bikhra dil sub gaye meri surat pay magar kesi nay kabhi na deikha dil aaj woh hee bhool beitha issay tha jis ka kabhi deewana dil yuon tuo zindagi kay saath saath kabhi basa tuo kabhi ujra dil har maur pay milli ruswayee mujhe har maur pay mera toota dil dunia ki ajab uljhanon mein aab tuo sadyon say hai uljha uljha dil chahaat mein aus ki zinda hain ab tak mein aur mani mera dil hijr ka dard aur tanha dil |