Re: Poetry By Fahim(armaan) | | TUM YAAD AATAY HO Gham e sham jab dhalti hai tuo tum yaad aatay ho Mehaki hawa jab chalti hai tuo tum yaad aatay ho
Phelay huay andheron mein weeranon mein
shama jab kabhi jalti hai tuo tum yaad aatay ho
jab kabhi dooor kesi gulshan mein
koi kali khilti hai tuo tum yaad aatay ho
aus tanha kalay ufaq pay jab kabhi
chandni chamakti hai tuo tum yaad aatay ho
sadyon say tuo barsat barsi nahi aab
jab kabhi barasti hai tuo tum yaad aatay ho
aab tanha sa reitha hoon magar kia karoon
jab milnay ko jaan tarasti hai tuo tum yaad aatay ho
weeranon kay es mausam mein kahein
roshni jalti dikhti hai tuo tum yaad aatay ho
tanha chaltay huay en rahoon pay kabhi
zindagi jo muskura kay milti hai tuo tum yaad aatay ho
TUM YAAD AATAY HO |