Re: Poetry By Fahim(armaan) | | KHUSHIYON KA NAUSAM GHAMON KA MAUSAM
Khushiyon ka mausam ghamon ka mausam Sambhalay rakhta hoon hassien lamhon ka mausam meray weeranay mein aye kaash phir say Kahein say aa jaien dilkash nazaron ka mausam Woh phool woh kaliyian woh raks karti khushboo Yaad aata hai woh mehaki baharon ka mausam meray khal o khand ko roshan kaye rakhta tha Chamakta hua woh chand sitaron ka mausam kitna hassien tha teri chahaat ka sama woh Kya khoob tha woh teri aadayon ka mausam wafayon ka daur tha kabhi es dunia mein
Aaj kahan milta hai wafayon ka mausam aab tuo faqt ek yaad ban chuka hai Meray tamam kheyaalon khuwabon ka mausam pehal chuka hai aab tuo har soo har tarf Hijr ka mausam nafraton ka mausam mujhe maloom hai naaab aaye ga kabhi Woh kaliyon ka woh phoolon ka mausam pyaar mein hara hoon magar yeh yaqeen hai aab bhi aaye ga phir ek din khushiyon ka mausam mera sukoon o qarar lay gaya hai woh Jeisay samjha tha apni rahaton ka mausam phir esi aas mein hoon mein jana mill jaie kahein raha pay teri qurbaton ka mausam meray chand kay na honay kay sabab aab tuo jajta nahi mujeh ko ujalon ka mausam har mausam aa kar laut jata hai lekin jata nahi kabhi yeh zulmaton ka mausam Koi aus ko ja kay itna kahe day mani Lauta day woh mujeh ko meri chahaaton ka mausam KHUSHIYON KA MAUSAM GHAMON KA MAUSAM |