View Single Post
  #1  
Old 07-09-2003, 03:54 AM
Ghulam_e_Ali's Avatar
Ghulam_e_Ali
Guest
 
Posts: n/a

Tutorials:

Default

Dam hoNtoN pay aa'ya hai mehboob ka deedaar ho ja'ay
MaiN dhup mai khada hu chader e ulfat sayabaar ho ja'ay

Bas kuch hee saansoN ka mehmaan hooN is duniya maiN
Kashti meri hayaat kee sahil say ab ham kinaar ho ja'ay

Jhaylay haiN bohot sadme aur kantoN pay chala hu maiN
Ab aakhir khwahish hai kay raasta mera gulzaar ho ja'ay

DostoN yeh section mujhay khaali nazar aaya to maiN nay socha k main hi kiyou na post kerdooN ... waisay to maiN koee bada sha'ir nahein ... bus lafzoN ka gulaaboN say ik guldasta banaker paish kernay ki koshish kerta hoon ... umeed hai aap sab ko pasand aaygi meri sha'iri ... /flower