Thread: Aakaash
View Single Post
  #9  
Old 01-06-2008, 02:29 PM
armaan000's Avatar
armaan000 armaan000 is offline
FAHIM
 
Join Date: Dec 2007
Age: 25
Posts: 41

Country:

Tutorials: 0

Thanks: 0
Thanked 12 Times in 11 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 37
armaan000 is on a distinguished road
Post Re: Aakaash


ISHQ (A STORY OF LOVE IN ITS OWN WORDS!!!!!!)



Mein deewangi banay deewanon mein reitha hoon

jalti shama kay jaltay parwanon mein reitha hoon


mein jhonka banay hawayon mein reitha hoon

mein pani kay taeez dharon mein reitha hoon


mein khuwab hoon har ek shaeir ka

mein har lafz ki tarhan kitabon mein reitha hoon


mein phool hoon tuo kabhi kali

khushboo ki tarhan gulistanon mein reitha hoon


mein khushiyon kay lamhon mein basta hoon

mein gham kay afsanon mein reitha hoon


mein chayon banta hoon tuo kabhi

tapish ki tarhan sehrayon mein reitha hoon


kabhi hota hoon mein chandni kay saath kabhi

roshni ki tarhan taaron mein reitha hoon


bhool jatay hain jo tareik jeewan ko

mein mast aun mastanon mein reitha hoon


tanhayee milti hai jahan aksar

mein badnaam aun mhekhanon mein reitha hoon


kabhi maan mein basta hoon mein tuo

kabhi suuni suuni nighahon mein reitha hoon


mein dharkanon mein basta hoon kabhi

dil say nikli sadayon mein reitha hoon


kabhi andhron mein bhatakta hoon mein

kabhi mein weeranon mein reitha hoon


kabhi yaad benaam ilfaaz say kartay hain log

kabhi labon ki duayon mein reitha hoon


mujhe mehsoos karnay walay kartay hain mehsoos

mein mehaki huai baharon mein reitha hoon


mujhe samjhay tuo samjhay aakhir koi

mein pyaar ki daastan mein reitha hoon


kabhi toot ta hoon mein khuwabon ki tarhan

kabhi deevta ki manad aasmanon mein reitha hoon


zamanay walay tuo aksar keithay hain yeh

mein bekhabar hoon bayganon mein reitha hoon


mujhe phoolon ka bistar milta hai kabhi

mein tuo aksar kaanton mein reitha hoon


kabhi mehakay mausamon mein basta hoon

kabhi dard ki panahon mein reitha hoon


kabhi shaam kay rang mein rangta hoon mein

kabhi tanhayee kay aashiyanon mein reitha hoon mein


MEIN kia aur zikar karoon .....

mein kia aur beyaan karoon .......


weisay tuo mera jeewan ek khuli kitaab hai !!!!!


MEIN ISHQ HOON AASHIQON MEIN REITHA HOON !!!

------------------------------------------------------------ mein ISHQ hoon

Reply With Quote
The Following User Says Thank You to armaan000 For This Useful Post:
pinkrose1 (04-13-2008)