Thread: Aakaash
View Single Post
  #7  
Old 01-06-2008, 02:05 PM
armaan000's Avatar
armaan000 armaan000 is offline
FAHIM
 
Join Date: Dec 2007
Age: 25
Posts: 41

Country:

Tutorials: 0

Thanks: 0
Thanked 12 Times in 11 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 37
armaan000 is on a distinguished road
Post Re: Aakaash

HIJR KA DARD AUR TANHA DIL.......!!!!!


Hijr ka dard aur tanha dil

tanhayee mein mera dooba dil


dooor talak phela hua hai

yaadon say bhara shera dil


keisay beyaan karoon aaj kal

kitna hai yeh weeran dil


ausi nay chora es ko jis ki

chahaat mein tha khoya dil


apni hee tanhayee mein aksar

aus ki yaad mein roya dil

jab deikha pyaar ko ruswa hotay

tuo dil hee dil mein tarpa dil

sub kay hotay es dunia mein

hay kitna baybas akela dil

gheir sahee yan phir apne sahee

yeh baat ab tak na jana dil

har ek lamha har ek ek pal

aus kay pyaar ko tarsa dil

woh bhi kho chuka hai kahein

dia tha jis ko kabhi apna dil

aab tuo khaal hua har ek say

reitha ha ukhra ukhra dil

aeisay aina bhi toota na hoga kabhi

jeisay toot kar aab kay bikhra dil

sub gaye meri surat pay magar

kesi nay kabhi na deikha dil

aaj woh hee bhool beitha issay

tha jis ka kabhi deewana dil

yuon tuo zindagi kay saath saath

kabhi basa tuo kabhi ujra dil

har maur pay milli ruswayee mujhe

har maur pay mera toota dil


dunia ki ajab uljhanon mein aab tuo

sadyon say hai uljha uljha dil


aus ki chahaat mein ab tak zinda hain

mein aur mani mera dil

hijr ka dard aur tanha dil

----------------------------------
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to armaan000 For This Useful Post:
pinkrose1 (04-13-2008)