As-salam-o-alaikum Dosto!
is maah Eid-ul-Azhaa ki nisbat se mazahia muqaabla-e-ghazal goi ka ehtmaam kiya gya tha, hmeiN khushi hy k kafi dostoN ne is muqably meiN shirkat ki... hum tamam shurka k shukr guzar haiN..
nataij ka ailan judges ke mushtarka faislay par mabni hota ga... lehaza judges say guzarish hai k woh 31st Dec. tak hmeiN apne faislay say agah kar daiN... judges har kawish ko 1-10 tak marks day saktay haiN... humaray Mohtaram judges k naam darj-e-zail haiN; (Sohail Malik, Mehtab, saahir, Zain, Kanch ki Mehroo, WanderingThoughts) Evalutaion ka criteria yeh hai; Behr aur Wazn = 4 andaaz-e-bayaN, Rawani, Takayyul, alfaaz ka ist'emal = 6 total marks = 10 muqablay maiN shamil ghazlaiN yeh haiN: 1- mujahid khan
2- autam chupke chupke raat din uska bartan manjvana yaad hai humko ab tak kaprey dhonay ka woh zamana yaad hai dopehar ki dhoop mein kaprey sukhanay kay liye woh mera kothay pay bhi nangey panv jana yaad hai Aa gaya jab sunday ki shab bhi kabhi zikr-e-shopping woh mera meri biwi say, ATM card chupana yaad hai saas sasur ki dostoN ab kiya sunaoun daastaaN sasuraal na janey ka mujhey har ik bahana yaad hai daaru pee kay jab bhi ghar mein aana para mujhey woh mera daantoN taley, ilaichi chabana yaad hai dekh liya jab bhi kabhi rastay mein kissi dusri larki ko Biwi kay ghussay ko deikh kar mera thartharana yaad hai waqt-e-rukhsat office, Ab bhi yaad aata hai mujhey biwi kay purse say car ki chaabi churana yaad hai second show deikh kar woh mera raat ko ghar dair say Aana Biwi ka ghussay say darwaza na kholna yaad hai Jub Kabhi Ittefaqan taway pey roti jal janay par woh mera tere belan say sir phatwana yaad hai Jub kabhi tujh say teree umar poochnay per who tera duppatay main Sharmana aur 34 ko 17 bata tey huey muskurana yaaad hai Apni umar chupanay kay liye who tera munnay ko peetna Aur Tujhe Mummy nahi baaji bulanay ko kahna yaad hai haftey baad hi moun utha kar meikey chalay jana tera aur mera ghar mein jharu pochaa lagana yaad hai kheench lena woh tera salary ka lifafa dafataan aur tera beauty parlor pay woh paisay urana yaad hai yaad hai begum ab bhi woh tera belan se mujhey peetna aur baad pitney kay tera woh iodex lagana yaad hai aaye din saley saliyooN ka aana ghar pay mere woh tera unkey samney mujhey murgha banana yaad hai shukr hai 'HumTum' teri shaadi nahi hui abhi shaadi shuda YarooN ka woh, rona rulana yaad hai !! 3- faridnawaz
Aaj tak woh band baje shaamiyana yaad hay
Khud ko itni dhoom se sooli chaRhana yaad hay
Teen moqay bhi diye qazi ne GHor-o fikr ke
Aaj tak who qeemati moqay gaNwana yaad hay
Aik nah kafi thi her muskil se bachne ke liye
hum ko haN ka faislaa who ehmaqana yaad hay
ghar jise laye the hum roti pakane ke liye
ab pakati hay hameN us ka pakana yaad hay
nah silaee janti hay nah cooking maloom hay
haN oose shohar ko ungli per nachaana yaad hay
uski her ik baat per kehna hi paRta hay ‘bajaa’
is tarah ooska hameN barsoN bajana yaad hay
mantay heN hum logoo hadesaa hoga shdeed
kiyon keh hum ko waqeaa itna puranaa yaad hay
4- land of sorrow ye ho gaye kia haalaat SADAR sahb ik kero muj se mulakat SADAR sahb apposition ki position khatar naak hai ker do havaly jail khana jaat SADAR sahb main kum sin shaitaan kaya mashwara don aap to khud hoo bady chaalaak SADAR sahb khud he ban jaoo sadar , wazir_e_azam be nahin chayeh hamain ye wuzraat SADAR sahb mangty rahoo amrica se amdaad roozana har din hoo ap ka jumairaat SADAR sahb zindgi main kabi b wardi na utarna ta k door rahain afaat_o_billiyaat SADAR sahb hakoomat ho apki jeet koi or jaye ye kahan ki ''ikhlakiyaat'' SADAR sahb aman ka suraj nikal he ana hai akhir ho gaye hai kaafi raat SADAR sahb 5- ali4everfriend
6- Stubborn Lioness!
-------------------------------------------------
Note: ye thread sirf judges ki marking k liay hy, judges ki posts k elawa koi bhi post hui to delete kr di ja'ay gi.