Re: Aakaash | | RAAT SARD THI AUR TANHA THA MEIN Raat sard thi aur tanha tha mein apne hee kheyaalon mein lapata tha mein woh yaadien bhi chor gayien mujeh ko aakhir jin yaadon say kab ka jura tha mein manzil ka nishaan saaf dikhta tha wahan say ishq kay jis maur pay khara tha mein pyaar kar kay nibhana hai aasal cheez pyaar kar kay yeahi ek baat samjha tha mein aaj woh bhi anjaan ban gaya hai jis ko kuch arsa phelay kay jaanta tha mein woh log ajnabi ban beithay hain mujeh say kal tak jin ko apna maanta tha mein apnon say jo gham milla tuo ehsaas hua ghalt tha woh jo sub kuch soochta tha mein dunia ki bheer mein kho gayein hain kuch aeisay log jin ko kabhi dil say apnay chahaatha tha mein jo saza milli mujeh ko aus ka haq daar nahi tha masoom tha aur kuch khad tak nadaan tha mein bachpan kay woh pal bhi bichar gaye mujeh say jin kay sang haansta muskurata tha mein dukhon ki bhuchaar jab hoti thi dil pay gham e sham ki tarhan phir dhalta tha mein jab bhi deikhta tha pyaar ko ruswa hotay ek gham ki agan mein jalta tha mein kesi ko mera honay ki aarzoo thi kabhi kesi kay jeewan ka armaan tha mein ghamon ki inteha ho chuka hoon aab kabhi rahaton ka samaan tha mein dost kabhi kesi ka hota nahi koi khud ko yeahi hamesha samjhata tha mein ek pal jab woh na milta tha mujeh say judayee mein aus ki tarapta tha mein hijr kay mausam mein jeisay toota hoon ab ki bar aeisay phelay kabhi na toot kay bikhra tha mein jeewan kay jeisay badal sa gaya tha jab mohabat say pheli baar rahon pay milla tha mein gheiron ki bewafayee ka pata tha lekin apnon ki sazishon say badgumaan tha mein es khalat mein hoon soochta hoon ek waqt aeisa tha kay bahut mahaan tha mein kesi ki aankhon mein basa nooor tha kabhi kesi kay hassien sapnon ka jahan tha mein jaanta tha dil ki basti ujray gi ek din par hijr kay toofanon say mani anjaan tha mein RAAT SARD THI AUR TANHA THA MEIN !!!!! |