Re: Muqabla-e-Mazahia Ghazal ~*~Eid -ul-Azhaa Special~*~ | | ye ho gaye kia haalaat SADAR sahb ik kero muj se mulakat SADAR sahb apposition ki position khatar naak hai ker do havaly jail khana jaat SADAR sahb main kum sin shaitaan kaya mashwara don aap to khud hoo bady chaalaak SADAR sahb khud he ban jaoo sadar , wazir_e_azam be nahin chayeh hamain ye wuzraat SADAR sahb mangty rahoo amrica se amdaad roozana har din hoo ap ka jumairaat SADAR sahb zindgi main kabi b wardi na utarna ta k door rahain afaat_o_billiyaat SADAR sahb hakoomat ho apki jeet koi or jaye ye kahan ki ''ikhlakiyaat'' SADAR sahb aman ka suraj nikal he ana hai akhir ho gaye hai kaafi raat SADAR sahb |