View Single Post
  #4  
Old 12-08-2007, 08:27 PM
denarouse's Avatar
denarouse denarouse is offline
Member
 
Join Date: Nov 2007
Age: 30
Posts: 19

Country:

Tutorials: 0

Thanks: 4
Thanked 4 Times in 4 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 41
denarouse is on a distinguished road
Talking Re: Muqabla-e-Mazahia Ghazal ~*~Eid -ul-Azhaa Special~*~

Tu paapee hai tiree khwaahiSh hai daaman meN savaab aa'ay

Magar kehta hai dil teraa hijaabii be.hijaab aa'ay

Nijas uss muNh se laytaa hai meri betii ka tuu jo naam

Dua hai khaak uss muNh meN tere bhii be.hisaab aa'ay

Hifaazat ab mere eemaaN kii Maalik hee kare logo!

Kii fermaa'iSh thi Zam Zam kee woh layker haiN sharaab aa'ay

Manaa kitnaa kiya maiN ne kahaaN sunte sasur jee haiN

ZameeN per gand phailee thee pah woh pehnay juraab aa'ay

Khuda e Lam.yajal tuu hee bataa yeh maajraa kya hai

Bajaa'ay sang k waaN se miree jaanib gulaab aa'ay

Najaane kaunsii aunty ne inko aaNkh maarii hai?

Ke peerii meN bhii buDDhay per bahaar aa'ay shabaab aa'ay

Jo sar apna jhukaa'ay hai, kahe roker wahii ganjaa

Sharaafat hai kahaaN kee yeh ke tohfay meN khizaab aa'ay

Mujhay khaao naheiN PUCCA ke hooN mazloom saa panchhii

Tumhaarii bhook kee khaatir mujhee per kyuN azaab aa'ay?

DIYA aapii na poochhaiN yeh "bataao hai kahaaN teetar?"

Usay PUCCA ne khaaya hai thay din uss k kharaab aa'ay

Meray duShman kii her murGhii ne sonay kay diay anDay

Merii murGhii se aa'ay jo sabhii anDay kharaab aa'ay

Ghareebii ka yeh aalam hai ke sabzii per guzaaraa hai

Terii qismat meN aay dur: najaane kab kabaab aa'ay ...