Re: Muqabla-e-Mazahia Ghazal ~*~Eid -ul-Azhaa Special~*~ | | chupke chupke raat din uska bartan manjvana yaad hai
humko ab tak kaprey dhonay ka woh zamana yaad hai
dopehar ki dhoop mein kaprey sukhanay kay liye
woh mera kothay pay bhi nangey panv jana yaad hai
Aa gaya jab sunday ki shab bhi kabhi zikr-e-shopping
woh mera meri biwi say, ATM card chupana yaad hai
saas sasur ki dostoN ab kiya sunaoun daastaaN
sasuraal na janey ka mujhey har ik bahana yaad hai
daaru pee kay jab bhi ghar mein aana para mujhey
woh mera daantoN taley, ilaichi chabana yaad hai
dekh liya jab bhi kabhi rastay mein kissi dusri larki ko
Biwi kay ghussay ko deikh kar mera thartharana yaad hai
waqt-e-rukhsat office, Ab bhi yaad aata hai mujhey
biwi kay purse say car ki chaabi churana yaad hai
second show deikh kar woh mera raat ko ghar dair say Aana
Biwi ka ghussay say darwaza na kholna yaad hai
Jub Kabhi Ittefaqan taway pey roti jal janay par
woh mera tere belan say sir phatwana yaad hai
Jub kabhi tujh say teree umar poochnay per who tera duppatay main
Sharmana aur 34 ko 17 bata tey huey muskurana yaaad hai
Apni umar chupanay kay liye who tera munnay ko peetna
Aur Tujhe Mummy nahi baaji bulanay ko kahna yaad hai
haftey baad hi moun utha kar meikey chalay jana tera
aur mera ghar mein jharu pochaa lagana yaad hai
kheench lena woh tera salary ka lifafa dafataan
aur tera beauty parlor pay woh paisay urana yaad hai
yaad hai begum ab bhi woh tera belan se mujhey peetna
aur baad pitney kay tera woh iodex lagana yaad hai
aaye din saley saliyooN ka aana ghar pay mere
woh tera unkey samney mujhey murgha banana yaad hai
shukr hai 'HumTum' teri shaadi nahi hui abhi
shaadi shuda YarooN ka woh, rona rulana yaad hai !! |