Re: Ra'ay shumari bra'ay muqabla-e-nazm goi (Nov. 07) | | itnay boht saray logo nay is muqabily main shirkat ki ye yaqeenan poet club kay liya boht kamyabi ki baat hay,, muqabilay kay shurka say meri ye guzarish hay kay wo roman main likhnay say guraiz karain,,or urdu rasmulkhat main likhain..agar aap ko nahi aata to hg pr apnay friends say seekhain or un ki madad hasil karain,,q kay roman main sha,iri ka haqeeq asar roonuma nahi hopata,lafz apni soat kay saath saath sorat kay zarye bhi dil pazeer hotay hain,,to is mertba roman kay main 2 marks kaatma chahon ga,,or faizan kay layout hi pr marks dayraha hon. 1-faridnawaz
boht achi koshish thi,,rawani bhi hay laikin kuch kami bhi hay.or 2 nombar roman khagae 2+3=5-------------------------------------------------------------- 2-denarouse aap nay bhi acha likha hay,,koshish krtay rahain,,rawani boht kam hay or khiyal purana hay,,or phir roman 2+3=5-------------------------------------------------------------- 3-mujahid khan 2 # to aapko urdu kay mil gaiy.. achi kahi hay per janab baat bani nahi, 2+2+2=6-------------------------------------------------------------- 4- readme is main koi shak nahi hay kay aapki nazm sab say munfarid hay.or kamal ki pukhtagi hay,khiyal bhi munfarid hay,,laikin mozo say insaaf nahi hay,,muqabilay ki ahm baat mozoo say insaaf bhi,,bahrhaal aik acha munfarid or achoota khiyaal hay..or dagar say hat kay hay.. 5+4=9-------------------------------------------------------------- 5- land of sorrow hmm janab aap ko bhi roman maar gaee.rawani to hay ,albatta khiyal boht purana hay 3+2=5 -------------------------------------------------------------- 6- faisal_Rwp achi kahi aap nay.rawani bhi hay,,pr mozo sirf misray tak hi mahdood raha,,laikin phir bhi achi nazm thi.. 3.5+35=7 -------------------------------------------------------------- 7- saraabs
lutf aaya aapki taweel nazm parh kr..roman aap ko dagha day gaya,wrna kaafi mahnat ki hay aap nay,,or sab say bari baat mozzo say insaaf hay,,nuqta bana kr nazm likhi hay.. 4+3=7
-------------------------------------------------------------- 8- zeename hmm.achi koshish ki hay..sawl bhi khob poocha hay janab,,aap kay marks hain: 2+3=5
-------------------------------------------------------------- 9- autam aap ki kawish achi rahi,rawani ki kami rahi..kaheen kaheen misron nay mutaasir kiya boht,,mahnat karain..or khiyal ko naiy rang dikhaain 3+3=6------------------------------------------------------------- 10- Ik PaGla acha naam likha hay sahil ki rait pr,,aap bhi roman ki nazar hoaiy or mozo say insaaf ka pahlo bhi kamzoar raha 3+2=5 11- Stubborn Lioness aap ka khiyal or nadaz mujhay sab say ziyada pasand aaya,,rawani ki kami thi kuch,,or roman kay 2 nombar kaat tay hoaaiy mujhya yaqeenan dukh horaha hay.. 3+5=8 12- rubinbiswas aap nay bhi khoob likha,,jaari rakhain.. 3+2=5 13- RUKHSAAR boht khoob,,aap kay marks kuch yoon hain: 3+2=5 -------------------------------------------------------------- 14- ali4everfriend hmm.ali bhai achi kawish hay,,aap ka khiyal acha or tameeri hay,rawani mutaisir hay aap kay marks kuch yon hain: 3.5+4=7.5 -------------------------------------------------------------- 15- sLeEpLeSs boht achi kawish thi..or aik shir ki lazzat amaiz tishnagi boht khobsorti kay saath moajood thi..laikin dpsray logon say mawazna kay un ki tarha chup chaap holay holay bain karo gi- ye mawzna hi aakhri sawal ki bunyaad ko kamzoar bana raha hay-agar kuch mahnat or hoajati to boht hi achi nazm hoti or pooray 10 marks ki mustahiq thahrti 5+3=8------------------------------------------------------------ 16- Kanwal Hussain aap ka unwan hi boht khobsorat or mozo say insaaf krnay wala hay- aakhri sawal ko unwan main jis khobsorti say chupaya gaya hay wo khoob hay 4.5+4=8------------------------------------------------------------- 17- silent_wishes
aap ki nazm bhi boht achi rahi..roman maar day gaae aap ko bhi....
3+3=6 |