ASSALAM-O-ALAIKUM, WC,aur SOS waghera meiN last month topic tha"AANSU" to aesey hi zehn mein aik sher aaya aur phir baqi bhi...i dont know k is zameen per pehley kisi ney likha hai ya nahin...wesey yaqinun likha hoga
kher jo bana wo aap k saamney hai...magar abhi is ko mazeed aagey barrhaney ka dil chah raha hai humara...filhal ye ashAar bardasht kareN
aur raey zaroooooooooooorrrr dein bhaley achi ho ya buri...khamiyaan to zaroor hi bataya karen1.gif)
Dekhen to faqat maey sey bun jatey hain aansu
Sochen to kuch fasaney kahey jatey hain aansu
Jub dil k samandar mein machi ho koi halchul
AankhoN k kattoroN sey chalak jatey haiN aansu
Gham laakh chupaooN maiN pardoN mein hansi k
Sawan ki ghatta bun k baras jatey haiN aansu
Saaya bhi dagha jub k dey jata hai shab ko
Us waqt bhi sung mera nibha jatey haiN aansu
Her cheez ka kuch mole hai manddi mein jahaN ki
Biktey na kisi mole wo anmole haiN aansu
Bhanwrey ki jafaoN pey ho matam jo kali ka
Shabnum ki nami mein kabhi dhal jatey haiN aansu
SadyoN sey ye insaan ki aankhoN k makeeN haiN
Ghar apna kabhi chorre k jatey nahiN aansu
(S.N.Neha)